π Hello India π ye title dekh kar aap ko samajh mai nahi aaraha hoga ki aakhir aaj Mai kya kehana chaati hoo,mai kya blog likhne wali hoo,kya post karne wali hoo, aap soch rahe hoge ki kahi mai trends,fasion ya logo ki hobbies ke baare mai likhne wali hoo,leakin essa nahi hai- mera blog kis baare mai hai ye aapko thodhi hi dare mai pata chal jaiga.ππ guy's aap logo ne kisi party ke dress code ke baare mai tho sunna hoga ya T.V par dekha hoga, jisme log xyz party ke theme ya- dress code ke according dress-up hokar jate hai.or wo theme pre-planned hoti hai jisme logo se kaha jata hai ki aap log iss dress code ke according dress-up hokar aiyee. Leakin kuch temes or dress code bohut saal pehle hi logo ke liye fix or decide kar diye gaye hai .or inhe iss trahe Se fix kiya gaya hai ki logo ko aaj-tak Unke dress code yaad dilaane ki jaroorat nahi padhi hai. Ye hamare samaaj ke program mai "by default settings" ki trahe fix kar diye gaye hai or logo ke inse koi problem bhi nahi hai, sayaad logo ka iss par dhyaan nahi gaya hai, ya logo ko iski aadat ho gai hai. Chaliye btati hoo ki aakhir ye dress code kya hai ----guy's aap sab ne politicians ko toh dekha hoga. or unko dekha hai toh Unke ✌✌dress code ko bhi dekha hoga. Yaad ayya ,toh aap sab ne ye bhi notice kiya hoga ki wo log kurta-pazama,kurta with Nehru jakits ,kurta with modi jakits ,kurta or jinse ,pehante hai. Or jinse bhi koi -koi pehanta hai .----kya aap logo ne kabhi bhi kisi politician ko shirt ,T-shirt π, jakits ,sport jakits, cool jakits, blazer pehante huwe dekha hai ??? Jahir si baat hai nahi dekha hoga, or sayad ham log Kabhi dekhe-ge-bhi nahi. Kyu-ki ye "power of dress code hai".or ye "power of dress code " sirf senior politicians ko hi nahi balki young politicians ko bhi influence karti hai. Tabhi toh koi newcomer or yuwa neta bhi politics mai jate hi kurta pajama wala dress code start kr deta hai. OR main baat toh ye hai ki koi unse ye dress code follow karne ke liye kehata nahi hai,or Nahi force karta hai Tab-bhi wo (young politicians) iss dress code ko follow karte hai . Sayad unhe lagta hai ki agar unhone ye dress-code follow nahi kiya toh wo Apni politicians ki chawi (image ) nahi bana paige. Abb baat karte hai different interest ki ----ham hamesha sochte hai ki agar koi insaan mazakiya kisam ka kush -mizaje insaan hai toh ham fata-fata ham apne dimag mai uski ye image bana late hai or sochte ki wo insaan kabhi bhi koi serious baat nahi kar sakta,or agar koi serious insaan hai toh wo kabhi koi positive baat nahi kar sakta,kabhi jada kush nahi rehe sakta . Issi traha ham sochte hai ki koi celebrity kabhi koi serious baat nahi kar sakta ,kisi serious topic par baat nahi kar sakta --kyu -ki wo iss trahe ke profession Se blong nahi karta .Or agar karta bhi had toh sirf publicity ke liye. Leakin essa nahi hai, kyu-ki agar essa hota toh aksay Kumar jo ek celebrity hai kabhi bhi serious topic par na bolte or nahi un par movie banate (toilet ek -prem gatha ,pad man). OR hamare country ke politicians jin-par bohut saari responsiblities hai wo kabhi ghum-fir nahi sakte, Kabhi dance nahi kar sakte ,kabhi gana nahi ga sakte ,kabhi khul-kar has nahi sakte, kyu-ki wo bohut serious profession se blong karte hai. Leakin koi bhi kisi bhi profession ka ho, wo hota toh hai ek insaan hi hai -Isliye serious thinking wala insaan bhi Kabhi non serious ho sakta hai ,or kisi entertainment profession wala insaan bhi serious ho sakta hai.or dono background walo ke bhi different interest ho sakte hai. #guy's plz follow my all blogs on www.rubaruwithsonam.blogspot.com par. (Thankyou )
No comments:
Post a Comment
AAPKO mere blog's kase lagte hai plz comment kijiye (in details), ππmere blogs ke idea's kase lagte hai --conclusion kase lagte hai plz comment kijiyeπππ or ha agar aap ke pass bhi koi idea hai koi raaye(opinion)hai π€π€or aap chate hai mai us topic pr blog bnawo toh plz comment kr ke btaiye.πππ