Hello India, guy's aap logo ne mera wo wala blog padha hai jiska title hai ---Badalta samaaj 2G speed agar nahi padha hai toh padh li-jiye kyu-ki aaj ka blog usse kafhi relate karta hai.aaj ham baat karege samaaj ke 2 face ki,2 thinking ki,or dohre samaaj ki-dohri soch ki. Jesa mene pehale kaha tha ki samaaj badal raha dhire -dhire hi sahi 2G speed sehi sahi Leakin badal toh raha hai.aaj samaaj ki soch bohut badli hai,khas-kar ke ladkiyo ko lekar.maa-baap ki soch bhi bohut badli hai unki betiyo ko Lekar -aaj maa-baap betiyo ko sanskaar ke saath-saath bohut acchi education bhi dete hai,wo sirf Apni betiyo ko basic education nahi dete, balki unhe highly-educate bhi karte hai.wo chaate hai ki unki beti na Sirf padhe-likhe balki padh-likh kr independent bane,wo chaate hai ki unki beti financially independent bane-socialy independent π© bane.wo chaate hai ki unki beti Apni identity bnaya -apni pehechaan bnaye or Apna or apne khandaan ka naam ROSAN Kare.aaj ke mata pita kudh Apni betiyo se puchte hai ki beta tumhe Kon sa course karna hai,tumhe kis chize mai interest hai -tum kya banna chati ho.jo parents pehle Apni sari investment ,Apni sari savings apne beto pr spend karte the.aaj wohi parents Apni savings or investment Apni beti pr bhi proudly spend karna chate hai. Lekin ye chera (face ) tab Badalta hai jab baat aapni beti ki nahi Dusro ki beti ki hoti hai------or wo beti hai unki "bahu"(douther in law ).kyu-ki wo beti abb Unke ghar ki bohu hai toh wo abb aage ki study continue kese kar sakti hai,kyu-ki Ab uski sirf ek responsibility hai or wo hai uske naye ghar uske sasuraal ki care karna.or agar usse study continue karne ki permission mil bhi jaati hai toh wo, job fir bhi nahi kr sakti,kyu -ki Ab wo is ghar ki bahu hai or uski sirf ek hi job hai apne ghar walo ki care karna."kyu-ki wo is ghar ki bahu hai beti nahi". Bohut acchi baat hai ki aaj sab log Apni betiyo ko highly-educate karna chaate hai,aaj sab log chaate hai ki Unki beti independent bane.aaj sab log chaate hai ki unki beti confident bane,strong bane,kabhi kisi Se dare na ,jhuke na ,kabhi hare na.leakin"bahu sabko ghareloo chaiye ,jo sirf itni padhi -likhi ho jo Thoda bohut hisaab kitaab kr-le,or apne baccho ko Thoda bohut padha-likha le.jo job na Kare or Apna Sara time Apni family πͺ ko de.jo apne opinion apne point of views na de at least tab- tak jab- tak magi na jaye". Guy's jab betiyo ke liye hamne Apni purani soch badli hai toh,toh bahuwo ke liye kyu nahi badal sakte.betiyo ke liye soch badalne mai itna time laga hai Ab bahuwo ke liye soch badalne mai kitna time lagao ge.or agar abhi tak aaplogo ne bahiwo ke liye soch nahi badli iska- matlab,aap ki soch betiyo ko lekar bhi nahi badli kyu-ki ----ye beti bhi kabhi na kabhi kisi ghar ki bahu banegi, or ye bahu bhi Kabhi na kabhi kisi ki beti thi.beti or bahu koi alag -alag inshaan nahi hai balki alag -alag situations mai ek hi inshaan hai. Yaha pr ek sikke (coin )ke 2 pehlu nahi hai balki 2 pehlu wala ek sikka hai. #bahu bhi kabhi beti thi,or beti bhi kabhi bahu banegi. #do comment and do follow. (thank you)
No comments:
Post a Comment
AAPKO mere blog's kase lagte hai plz comment kijiye (in details), ππmere blogs ke idea's kase lagte hai --conclusion kase lagte hai plz comment kijiyeπππ or ha agar aap ke pass bhi koi idea hai koi raaye(opinion)hai π€π€or aap chate hai mai us topic pr blog bnawo toh plz comment kr ke btaiye.πππ