Hellow india , Aaj mai batana chaatee hoo duniya ki aadhi abaadi yaani ladhkiyo-mahilawo (all females)ke baare mai, ki unhe aajtak yea nahi pata hai ki aakir unka ghar konsha hai ji haa unkha apnaa ghar ,aap soch rahe hoge ki yea kya baat hai sabko patha hai ki ladhkiya shaadi se pahle aapne mummy papa ke ghar rahety hai or shaadi ke baad sasuraal mai,yea hum sab jante hai-fir kyu-kyu hame bachpan mai yea kaha jata hai ki -beta thume ek din praaye ghar jana hai,or ek or kahawat hai bateeya praya dhan hoti hai,es pahely wali line se yea bataya jata hai ki jis ghar tum jaogi us ghar ke liye bhi tum prayee ho,or dusary line se hame yea batya jata hai ki beti tum to kabhi hamari thi-hi-nahi,tabhi tho -ladhki jaha 22 saal ki age tak rahety hai usse maikaa-mean's mummy ka ghar ,or jis ghar jaati hai usse sasuraal kahetea hai mean's saas ka ghar. or agar kab hi sasural mai koi choty-se choty galty ho jaye ya fir na bhi ho "tho badhe araam se khe diya jatta haichali jao apne ghar,or ladhi aapne maikye jaathi hai tho tabbhi kaha jata hai beta aab wahi tummara ghar hai". " CONFUSED SAMAAJ HOTHA HAI OR SUFFER HUM LADKIYA KARTY HAI" JATHE-JATHE BAS EK QUESTION "KYA KAI ABHI BHI BATAYEGHA HAMARA APNA GHAR KONSHA -KHAA HAI "
No comments:
Post a Comment
AAPKO mere blog's kase lagte hai plz comment kijiye (in details), ππmere blogs ke idea's kase lagte hai --conclusion kase lagte hai plz comment kijiyeπππ or ha agar aap ke pass bhi koi idea hai koi raaye(opinion)hai π€π€or aap chate hai mai us topic pr blog bnawo toh plz comment kr ke btaiye.πππ