😊 Hello India 😊 aaj ka topic bohut sensitive hai kyu-ki ye topic chote -chote Masumo ke bare mai hai,matlab chote -chote baccho ke baare mai ,jinko aaj tak koi haq nahi mila hai, yaha takki wo aajtaj kisi ke redaar mai bhi nahi aaye hai. Leakin iss post ke baad wo bacche bhi sabke redaar mai aajayege, "hope so" sabse pehle mai ye clear karna chati hu ki aakhir wo badnaseeb baache konse hai, ye wo bacche hai jo kisi bhi list mai nahi aate hai..... Ye bacche nahi rich family ke hai, nahi middle class family ke, or nahi lower middle class family ya poor family se. ab aap soch rahe hoge ki aakhir ye konse bacche hai jo kisi bhi cetegory mai fit nahi hote hai, or ye fit honge bhi kese kyu-ki actual mai in 3 cetegory mai nayi aate hai kyu-ki ye 4th cetegory se hai or wo category hai ✌the "child beggars" cetegory ✌. And afsose ye cetegory exist hi nahi karti, iss cetegory ka koi wajood or astitve hi nahi hai . "child beggars "--- ye wahi bacche hote jo hamare aas -paas hote hai or ham inhe bhik mangte huye dhekhte hai, jinhone acche kapde toh dur ki baat thik -thak kapde bhi nahi pehan rakhe hote hai , jinke perro mai chappal bhi nahi hoti hai, jinke paas sayed ghar bhi nahi hota hai, jinhone na to bohut saare dino se na toh kuch khaya hota hai or nahi nahaya hota hai or nahi apne Baal sulghaye hote hai, jinke paas thand mai bacne ke liye naahi jacket hota hai or nahi shole. Child beggars bhi 3cetegory mai aate hai.....first wo jo anaath hote hai-jinke na hi maa hoti hai or nahi baap, second wo jinke maa -baap toh hote hai Leakin bohut bimaar hote hai, or Unke baccho ko majboori mai chote -mote kaam karne padte had ya bhik magni padti hai, and third wo jinke maa -baap garibi ki majboori mai , ya fhir aalas ke chakar mai khud bhi bhik mangte hai or aapne baacho se bhi mangwaate hai .Child bagger mai ek or cetegory hai or wo hai begging mafiya cetegory jisme baccho ke kidnap kar ke unse jabardasti bhik mangwai jaati hai Leakin aaj ham iss wali cetegory ke baare mai baat nahi karege us ke liye in future mai alag Se post write karugi. Children right's/haq/aadhikaar-----jab ham ya fir sarkaar or ya phir Baal aayoge jaisi sansthane/athoraised body baacho ke aadhikaro ke baare mai bolti hai ya kuch karti hai toh wo in baacho ke baare mai kyu bhool jaati hai ,ya fir kahe bhool nahi jaati hai balki ye bacche un ke liye exist hi Nahi karte hai, ye bacche un ki redaar mai nahi hai, kisi ne bhi iss trahe se sochaa hi nahi ya fir kabhi kisi ne un baccho ko baccha samjha hi nahi. Leakin aaj Mai chaati hoo ki jin-jin logo ne bhi ye blog pada hai wo isse itna circulate Kare ki in baacho ko bhi unka aadhikaar Mile aachi education Mile ,ek acchi life Mile,or meri baat sab logo tak pohuch jaye. Ham log sarkaar ko toh kahe dete hai ki sarkaar ko Iske liye kuch karna chaiye Leakin ham kya karte hai btati hoo---jab kabhi bhi hum esse baccho ko dekh te hai toh ham unhe dhootkaarne lagte hai ya fir ek do rupay dekar aage chalte banate hai, agar kisi ke dill mai jada daya hoti hai to wo us baache ko kuch ready made khana deta hai or kuch pase dekar apne puneyo ka ghadaa bhar le te hai .Or kuch mahan log tohda jada sawab/puney kamane ke liye in baccho ko bohut acche se khana khilate hai ,kapde dilate hai, or social media par photos daalkar mahan bhi ban jaate hai, Leakin wo log bhi Ek ya do din ke liye mahan bante hai .Or baaki din un masoom baacho ko unki halat par chode dete hai. Ab aap hi bataiye ek din kilane se un baacho ka pate bhar jaiga, ek jodhi kapdho mai wo apni puri jindagi kaatlege , ek kitab se kiya wo wakai koi shiksha hasil kar Paige .toh mail un logo se puchti hoo" why temporary" aap un logo ki sorry un masoom se baacho ki permanent help kyu nahi karte ho, un ki life stable or normal kyu nahi banate ho . Aap un baccho ki permanently help kase kar sakte ho mai aapko explain karti hoo-- toh aap logo ko karna ye hai ki jabbhi app kisi child beggar ko dekhe to usse puchiye aap ka ghar kaha hai ,aap ke ghar mai Kon -kon hai ,aap ka koi ghar hai bhi ya nahi ,aapse ye kaam koi jabardasti toh nahi karwa raha hai jase uske maa-baap ya koi mafiya gang, koi usko Marta pithta toh nahi hai, us bacche ko aap puri tarhe analysis ki jiye. Or finally uski help kijiye. Us ki help karne ke liye aap child help line number -1098 par call kijiye,or us baache ke touch mai rahiye . App isme apne near wale police station ki bhi help le sakte hai ,bohut saare N. G. O bhi help karte hai ,or jo bohut saare aayoge hote hai aap unki bhi help le sakte hai. (thank you ) child help line no.....1098😊😊😊👍👍
my blog is about social problem--with conclusion--and solution with new invent idea's.and trust me,my blogs is little bit unique.
Sunday, 13 October 2019
Tuesday, 8 October 2019
Govt..school's and hospital located in pose Area......... Why?????
Hello India 😊😊 guy's aaj mera question hamari governments authority or hamare system se hai , Leakin yaha kahi na kahi hamari galti bhi hai wo kese ? Aap ko iss blog ke end mai pata chal jaiga. Guy's aap sab ko to pata hi hoga ki school hamari life ki, system ki sase hai oxygen hai, or agar wo school govt. School ho to ,wo oxygen must ho jati hai society Kai liye. Leakin aap ne bhi dheka hoga or mane bhi dheka hai ki jada tar govt. School's high-profile area mai or pose Area mai located hote hai, jo ki nahi hona chaiye kyu-ki in area's mai mostly rich people rehate hai or obviously unke bacche un school mai padne nahi jaige or nahi padne jate hai kyu-ki mai bhi ek government schools ki students rehe chuki hoo, or wo bhi ek pose Area mai located tha or waha us Area ka ek bhi student nahi padhta tha or baki sari dur -dur jaghe se lagbahg 3 k.m se aate the. Leakin in school's ki location pose area mai nahi honi chaiye kyu-ki in school's mai us area ke baache chode kr 3-3 k.m dur se money or time spent kr ke aate hai, or kabhi -kabhi isme risk bhi add ho jata hai agar koi baccha bohut chota ho(class 5th or 6th ka). OR bil-kul yahi haal hospital ka bhi hai ,mene actual mai dekha hai ki kitne sare hospital pose area mai located hai or wobhi chote -mote small hospital nahi balki bohut big hospital jinme sari facilities hai, jo bohut neet n clean hai, jaha par bohut sare bade -badhe needy medical equipment hai, Leakin wo fir bhi khali hai kyu-ki wo pose area mai located hai or waha rich log jana prefer nahi karte, agar yahi hospital normal area mai located hote to ye kacha -kach bhare hote. Or dur- dur se middle class patient or poor patient ko in hospital mai dur se nahi anna jana padta. Or Sara burden un ekka-dukka hospital pr nahi padhta jo normal area mai located hai. OR upper mene kaha tha ki essa ham logo ki galti se hota hai or wo esse hota hai ki jab hamare area mai kisi bhi trahe ka survey hota hai toh ham us survey mai participate nahi karte hai or agar karte bhi hai toh us survey karne walo ko puri or sahi information nahi dete hai ,pta nahi hum essa kyu karte hai, jiska natija ye hota hai ki government schools or badhe hospital's sahi or needy location par nahi bnati hai jiska results ye hota hai ki hospital bohut dur hote hai or pass wale hospital mai bohut crowd hota hai, or chote chote baccho ko bohut dur school jana padta hai.
Tuesday, 1 October 2019
Gita (The holy book) kasam, kanoon or Justice.......????
Hello 🙋 India guy's aap sab toh jaante hoge ki Gita, kuraan, bible ye saari holy book's hai .or inhe apne- apne religion mai bohut badha darja diya Jata hai.inhe bohut pavitre samzha jata hai.or inhi holy book's ke btaye huye raasto par chala jata hai.yehi religion or God ke according hamara marg-darshan Karti hai (sahi raasta dikhana).ya fir kahe yeh hamare life ki moral guider hoti hai. Log inhe naha-dhohkar mathe se chumkar inhe pade te hai or isme likhi har baat par amal karte hai. Leakin bohut salo se in sari holy book's ka anaadar ho raha hai,or pta nahi kitne salo tak hone wala hai.or essa kaha ho raha hai, hamari adalto mai, hamare Court rooms mai , wahi court rooms jaha Ham sab ko justice milta hai insaaf milta hai, leakin ye Court rooms hamari holy book's ko insaaf dena bhool gai hai, or afsose ki baat toh ye hai ki kisi ka bhi iss chiz par dyhaan nahi gaya hai ,or nahi kisi ko Bhi iss baat ka ehesaas hai. Hamari adalto mai bohut Aram se Gita or kuraan ki kasam Khali jati hai fir jahe koi gawha ,koi mujrim ,koi aaropi jhuta hi kyu na ho, wo jhooth hi Kyu na boll raha ho. Or ye pratha or rasam aaj se nahi kai salo se chali aarahi hai. kya ye pratha band nahi honi chiye,Kya iske liye koi kanoon nahi banna chahiye.kyu - ki ye baat toh Judge bhi jaante hai ki "Gita ki kasam" khakar koi bhi case solve hota hai or nahi koi sach bolta hai.kyu ki agar gita par hath rakhkar kasam kahne se culprit ka pata chalta toh sayaad court rooms or adalato ki jarurat hi nahi padhti. agar ham logically bhi dekhe toh ye thik nahi hai kyu-ki adalat saboot magti hai,adalat ki puri karwahi those sabutow or bohut sare ligal documents par, situation reports , forensic reports etc.. par chalti hai. insort kahu toh pura process bohut ligal or logical hota hai jaha sentiment's or religion matter nahi karta, "toh iss logical point of view se dekhe toh - Gita ki kasam khana thik nahi hai".( So we need to stop it as soon as possible) . # guy's , it's my request plz follow my all blog's . (Thankyou)
Subscribe to:
Posts (Atom)